Kabhi waqt mile to aajao,
Ham jheel kinare ja baithen,
Tum apne sukh ki baat karo,
Hum apne dukh ki baat karain,
Aur un lamhoon ki baat karain,
Jo sung tumhare beet gaye,
Aur ehd-e-khizan ki nazar howy,
In sabz ruton k daman mai,
Hum pyar ki khushbo mehkain,
In bikhray sabz nazaron ko,
Ham aankhon men tasveeer karain,
Phir apne pyar k jado se,
Hum lamhoon ko jageer karain,
Kabhi waqt milaye to ajao…
Hum jheel kinare ja baithen...
Ham jheel kinare ja baithen,
Tum apne sukh ki baat karo,
Hum apne dukh ki baat karain,
Aur un lamhoon ki baat karain,
Jo sung tumhare beet gaye,
Aur ehd-e-khizan ki nazar howy,
In sabz ruton k daman mai,
Hum pyar ki khushbo mehkain,
In bikhray sabz nazaron ko,
Ham aankhon men tasveeer karain,
Phir apne pyar k jado se,
Hum lamhoon ko jageer karain,
Kabhi waqt milaye to ajao…
Hum jheel kinare ja baithen...
Yunhi Umeed Dilatay Hain Zamane Wale,
Laut Kay Kab Aatay Hain Jane Wale,
Tu Ne Dekha Kabi Sehra Main Jhulasta Hua Darakht,
Iss Tarha Jaltay Hain Wafaon ko Nibhane Wale,
Tu Aa Kar To Dekh Kabi Un Ki Shabon Main,
Kitna Rotay Hain Zamane Ko Hasane Wale…!

Muddat K Bad Dekha Use Badla Hua Tha Wo
Najane kia Haadsa Hua Sehma Hua Tha Wo.
Mujhe dakh kar Usne Chehra to chupa Liya
Mgr Ankhen Bata Rahi Thi K RO0YA hua tha wo.
Uski Ankhen Dakh Kar MEHSOOS hua Mujhe
Meri Tarha kisi S0och main Dooba Hua Tha wo.
Uski S0ne Jasi Rangat Zard Parr Gai thi
Jase kisi Ke pyaar main jalla Hua tha Wo.
NAEEM Qurbaan Jaon us shakhs par main
Yaad main jis ki Khoya Hua Tha Wo...

Bikharna tootna bhi aor anaa ke saath bhi rehna
Sitam eejaad bhi karna, wafa ke saath bhi rehna.
Tera andaaz aisa hai andheron ki kahaani main
Jalaana kuch diye bhi aur hawa ke saath bhi rehna.
Yahaan to shokhiyon ko apni zebaaii se matlab hai
Lahu main bhi machalna aur hina ke saath bhi rehna.
Ajab rang-e-ta’aluq hai mohabbat ka mere dil se
Keh us ko torna bhi aur sada kay saath bhi rehna.
Haram aur dair sab naqsh-e-mohabbat hain, to dil ko hai
Khad-o-khaal-e-butaan main bhi, khuda ke saath bhi rehna...

Mujhey arzoo e seher rahi yunhi raat bhar bari dair tak.
Na bikhar sake na simat sake yunhi raat bhar bari dair tak
Hai bohat azaab aur akaily hum, shab e gham bhi meri taweel tar
Rahi zindagi bhi saraab aur rahi aankh tar bari dair tak.
Yahan har taraf hai ajeeb samaan, sabhi khud pasand, sabhi khud numa
Dil e be-qaraaar ko na mila koi chara gar bari dair tak.
Mujhay zindagi hai aziz tar isi wastey mery hamsafar
Mujhay qatra qatra pila zehr, jo karey asar bari dair tak.
Na sakoon e jaan na shreek e gham mila is jahan mein chaar su
Teri yaad thi meray saath jo rahi dar ba dar bari dair tak.
Yahan shehar e dil bhi udaas hai aur ujaar ujaar si rah guzar
Rahey teray baad dhwaan dhwaan meray baam o dar bari dair tak...