Yehi Nahi Ke Toofan Meri Talaash Mein Hai
Ke Mausam-e-Gham-e-Jaanan Meri Talaash Mein Hai
Visaal Rut Hai Magar Dil Ko Aisa Lagta Hai
Sitaarah-e-Shab-e-Hijraan Meri Talaash Mein Hai
Mein Faislay Ki Ghari Se Guzar Chali Hun
Kisi Ki Deeda-e-Hairaan Meri Talaash Mein Hai
Ye Be-Yaqeen Si Aasoodgi Batati Hai
Ke Ik Qirya-e-Veeran Meri Talaash Mein Hai
Mein Teergi Mein Mohabbat Ki Ik Kahani Hun
Koi Charaagh Sa Unwaan Meri Talaash Mein Hai
Ye Kaisa Khwaab Tha Dharka Sa Lag Gaya Dil Ko
Ke Ik Shaks Pareshaan Meri Talaash Mein Hai....
Wo piyar ka saboot dikhaya karta tha
Aansoo baha kr mjhe manaya krta tha
Ye zindagi sirf tum se wabasta hai
Aksar ye baat mjhe bataya karta tha
Us ki baton mein kuch aisa asar tha
Mein barish k bina he bheeg jaya karta tha
Soney ki fursat kis ko the
Wo mjhe sari raat jagaya karta tha
Bechaini jab had se barh jati the
Wo ji bhar k galae lagaya karta tha
Wo itni muhabbat krne wala badal gaya
Jo sath nibhane ki qasam khaya karta tha....
Dil ankh ke kehne par safarat nai karta
kuch hai ki abhi uske himayat nai karta
kiss bat pe rutha hai pata ho to maanaooo
woh ruth to jata hai shikayat nai karta
har bat me hote hai usske kai soo matlab
woh bat to karta hai wajahat nai karta
us shakhas ke wado me wafa aaye kidhar se
vaade bhi jo wafaye mohabbaat nai karta
main usse ruth ke jata nai ki wo aksar
ruhttho to manane ke zehmat nai karta
main uske leye sare zamane se laara hu
woh shakhas jo khud se b bagawat nai karta...
Dosti Pehli Baarish Ki Boondo Mein Hai.
Dosti Khilte Phool Ki Khushbu Mein Hai.
Dosti Ugte Suraj Ki Kirno Mein Hai.
Dosti Har Naye Rishte Ki Umeed Hai.
Dosti Khwaab Hai, Dosti Jeet Hai.
Dosti Pyaar Hai, Dosti Geet Hai.
Dosti Sang Chalti Hawaaon Mein Hai.
Dosti In Barasti Ghataaon Mein Hai.
Dosti Doston Kiwafaaon Mein Hai.
Haat Utha Kar Jo Maangi Hai Dua.
Dosti Ka Asar In Duaaon Mein Hai.
Dosti Pehli Baarish Ki Boondo Mein Hai.
Kuch apne lub o lehje ko tabdeel wo karta
Phir hum se bayan ranj ki tafseel wo karta
Yak tarfa takazay to nibae nhai jate
Kuch apne faraaiz ki bhi tameel wo karta,
Ilzamm lagata wo bare sho se par,
Kch apne kiye wadoon ki takmeel wo karta,
Kuch us ko bi ehsas to hota tanhai ka,
Kuch khuwab mere khud me tabdeel wo karta...
Tu mujhe paane ki khwahish rkhta hai shayad,
Lekin mujhe toh jeene k liye teri hi zaat chahiye…!!