Ek Jesi Lagti Hain Chooriyan B Larkiyan |
'Ek Jesi Lagti Hain Chooriyan B Larkiyan B
Hansti Hain Khanakti Hain Chooriyan B Larkiyan B
Nazuk Inteha Ki, Ek Zara C Thais Se
Toot Ker Bikhrti Hain Chooriyan Bhi Larkiyan B
In K Torrne Walon Ko Ehsas Tk Nahi Hota
Bikhar K Kab Sambhalti Hain Chooriyan B Larkiyan B
Zindgi Ki Dharkan Ko Ek Ridham Sa Deti Hain
Zeest Ko Sjaati Hain Chooriyan B Larkiyan B
Apne Dukh Ko Apne Andar Rakh K Bhool Jati Hain
Bahir Se Chamakti Hain Chooriyan b Larkiyan b...'
LARKIYAN BEWAFA NAHI HOTIn:
Wo to majborioon main lipti hain
Apney shiddat bharey khyaloon main
Apney ander chhupi ek aurat main
Wo hamesha hi darti rehti hain
Na to jeeti hain na to marti hain
Larkiyaan bewafaa nahi hoti
Per Hamesha hi darti rehti hain
Apne reeti or rawajoon se
Any waley naye azaboon se
Zardurat main khily ghulaboon se
Pyaar kerti hain or chhupati hain
Larkiyaan Bewafaa nahi hoti
Kyuon ki majborioon main lepti hain
Or her lamha darti rehti hain
Apney pyaar se apney saye se
Apney rishton se dil ki dharkan se
Apni khowahish se apni kushioon se
Larkiyaan Bewafaa nahi hoti !!! …..:-)
Larkiyan Hoon Ya Titliyaan, |
Aik Din Urr Hi Jati Hein !!
Tiyliyaan Aik Phool Sy Doosry Phool,
Aik Daal Sy Doosri Daal,,
Ek Baagh Sy Doosry Baagh
Mandlati Phirti Hein!!
Larkiyan, Babul Ka Ghar Choar
Piya Sang Chali Jati Hein !!
Buht chanchal buht khushnuma c hoti hain
BETIYAN
Nazuk sa dil rkhti hain
masoom c hoti hain
BETIYAN
Baat baat par roti hain nadan c hoti hain
BETIYAN
Hain Rehmat sy bhrpor
“KHUDA” ki nemat hain
BETIYAN
Ghr b mehik uthta hy
jb muskurati hain
BETIYAN
Hoti hy ajeeb c kefiyt jab
Chor k chali jati hain
Ghr lgta hy soona soona
kitna rula jati hain
BETIYAN
Ye hm nhi kehte
Ye to “KHUDA” b kehta hy
k
Jab hm buht khush hote hain
to paida krte hain
BETIYAN..
Ye Betiyan Kesi Hoti Hain
Ye Pariyon Jesi Hoti Hain
Ye Bat Bat Pe Roti Hain
Dil Hota Hai Inka Nazuk Sa
Ye Bholi Bhali Hoti Hain
Baap Ki Ladli Hoti Hain
Ma Ki Sulaari Hoti Hain
Guryon Se Khelna Bachpan Inka
Itni Jaldi Kesey Beet Gya
Aangan Soona Kar Jati Hain
Baap Ka Dard Samajhti Hain
Ma K Aanso Ponchti Hain
Ye Betiyan Kesi Hoti Hain
Ye Paryon Jesi Hoti Hain....