Ye Betiyan Kesi Hoti Hain
Ye Pariyon Jesi Hoti Hain
Ye Bat Bat Pe Roti Hain
Dil Hota Hai Inka Nazuk Sa
Ye Bholi Bhali Hoti Hain
Baap Ki Ladli Hoti Hain
Ma Ki Sulaari Hoti Hain
Guryon Se Khelna Bachpan Inka
Itni Jaldi Kesey Beet Gya
Aangan Soona Kar Jati Hain
Baap Ka Dard Samajhti Hain
Ma K Aanso Ponchti Hain
Ye Betiyan Kesi Hoti Hain
Ye Paryon Jesi Hoti Hain....
Kathin he rah guzar thori door saath chalo |
buhat kara he safar tori door saath chalo
tamam umar kahan saath deta he
ye jaanta hoon magar’ thori door saath chalo
nashe main choor hoon main b tumhain b hosh nai
bara maza ho agar thori door saath chalo
ye ek shab ki mulaqaat b ghanimat he
kise he kal ki khabar thori door saath chalo
abhi to door hain chirag rahon ke!!!
abhi he door sahar thori door saath chalo
tawaaf e manzil e janaan hamain b karna he
faraz tum bhi agar thori door saath chalo...
Dil Ki Bohat Nazuk hoti hain |
*BEHNAY*
Sada ” BHAIYO ” Ki Muntazir Reti hain *BEHNAY*
*BHAI* Q tor daity hain inka Nazuk sa dil,
Un Ki Isi Adaa par Bohat ” R0ti ” hain *”BEHNAY”*
Hr pal takkti Hain “*BHAIYO “* Ki Raahen,
Na Aaen tO khamosh AANSU Baha Laiti hain
“*BEHNAY*”
Thukraty han ,Staaty hain, BHOOL jaty hain
” * ” BHAI “* ”
Na janay Phir Bhe Q *BHAIYOON* kO
“Dua”DEti han BEHNAY.
Maa thand¡ chaon ha¡*
To baap ghana darakht*
Maa k pairon tale jannat ha¡*
To baap k pahlon ma¡n jannat*
Maa k begair ghar souna ha¡*
To baap k begair zindag¡ viraan*
Maa mohabat ka dariya ha¡*
To baap shifqat ka samandar*
Maa aulaad ki rafiq ha¡*
To baap aulaad k liye shafiq*
Maa tohfa khuda wandi ha¡*
To baap rahmat khuda wand¡*
Meri maa mera fakhar ha¡*
Or mera baap mera garoor*
Meri maa mera ishq ha¡*
Or mera baap mera janoon.
Jheel Mein Chaand Nazar Aye Thi Hasarat Usaki |
Kab Se Ankhon Mein Liye Baitha Huun Surat Usaki
Ek Din Mere Kinaron Mein Simat Jayegi
Tehare Paani Si Yeh Khamosh Muhabaat Usaki
Bandh Mutii Ki Tarah Woh Kabhi Khulata Hi Nahin
Faasale Aur Badaa Deti Hai Kurbat Usaki
Kisne Jaana Hai Badalate Hua Mausam Ka Mizaaz
Usko Chaho Toh Samaj Paaoge Fitrat Usaki.......