chal mere sath hi chal ae meri jan-e-gazal
in samajon ke banaye huye bandhan se nikal, chal.
hum vahan jaye jahan pyar pe pahare na lagen
dil ke daulat pe jahan koi lutere na lagen
kab hai badala ye zamana, tu zamane ko badal, chal.
pyar sacha ho to rahen bhi nikal aati hain
bijaliyan arsh se khud rasta dikhalati hain
tu bhi bijali ke tarah gam ke andheron se nikal, chal.
apne milane pe jahan koi bhi ungali na uthe
apani chahat pe jahan koi dushman na hanse
ched de pyar se tu saz-e-mohabbat-e-gazal, chal.
piche mat dekh na shamil ho gunahagaron mai
samane dekh ki manzil hai teri taron mai
bat banati hai agar dil mai irade hon atal, chal....
Jis simt bhi dekhooN nazar aata hai ke tum ho
Ae jaan-e-jahaaN ye koi tum saa hai ke tum ho.
Yeh khwaab hai, khushboo hai, ke jhoNka hai, ke pal hai
Yeh dhuNd hai, baadal hai, ke saayaa hai, ke tum ho.
Is deed ki sahAat main kaiye rang hain larzaaN
Mein hooN ke koi aur hai duniya hai ke tum ho.
DekhO yeh kisi aur ki aankhAin hain ke meri
DekhooN yeh kisi aur ka chehra hai ke tum ho.
Yeh umr-e-gurezaaN kahin tahre to yeh jaanooN
Har saaNs main mujh ko yeh lag ta hai ke tum ho.
Har bazm main mauzoo-e-suKhan dil zadgaaN ka
Ab kaun hai Shireen hai ke Laila hai ke tum ho.
Ik dard ka phaila huA sahara hai ke mein hooN
Ik mauj main aaya huAa dariya hai ke tum ho.
Woh waqt na aaiye ke dil-e-zaar bhi sochai
Is shehar main tanha koi hum sa hai ke tum ho.
Aabaad hum aashufta sarOn se nahin maqtal
Yeh rasM abhi shehar main zinda hai ke tum ho.
Ae jaan-e-’Faraz’ itni bhi taufeeq kise thi
Hum ko ghum-e-hasti bhi gawaara hai ke tum ho.
Jo Meri Ankho Pe Marta Tha,
Meri Baton Pe Marta Tha,
Na Janay Shakhs Tha Kesa?
Mujhy Khony Se Darta Tha,
Wo Jab B Bat Karta Tha
Yehi Har Bar Kehta Tha,
Suno.
Agar Me Bhol Jaon To
Agar Me Roth Jaon To
Kabhi Wapis Na Aon To
Bhula Pao Gay Sab Kuch Kia,
Yohi Hanste Raho Gay Kia?
Yohi Sajte Raho Gay Kia?
Yehi Baten Thi Bus Uski,
Yehi Yaden Thin Bus Uski
Muje Malom Hay Bus Itna
“Yaar ”
Muje Wo Piyar Karta Tha!
Muje Khony Se Drta Tha...
Ye kyaa ke sab se bayaan dil ki haalaten karani
`Faraz` tujh ko na aain muhabbaten karani
Ye qurb kyaa hai ke tuu saamane hai aur hamen
Shumaar abhi se judaai ki sa`aten karani
Koi khudaa ho ke patthar jise bhi ham chaahen
Tamaam umr usi ki ibaadaten karani
Sab apane apanee qarine se muntazir us ke
Kisi ko shukr kisi ko shikaayaten karani
Ham apane dil se hain majabuur aur logon ko
Zaraa si baat pe barpaa qayaamaten karani
Milen jab un se to mubaham si guftaguu karanaa
Phir apane aap se sau-sau vazaahaten karani
Ye log kaise magar dushmani nibhaaten hain
Hamin ko raas na aain muhabbaten karani
Kabhi `faraz` naye mausamon men ro denaa
Kabhi talaash puraani raqaabaten karani…!!!!
Rasty ke jis diye ko samajhty thy hum haqeer
wo dia ghar tak pohonchny ka bahana ban gaya...
Ankh main khamoshi, labon pe sawal, rukh pe sadgi
kesy kesy rang hain is tasveer main...